Wednesday, October 7, 2009

Mera Tumse Yeh Vaada Raha

Main Kisi Dhun main Tha,
Chala jaa raha tha.....Bus.. chala jaa raha tha,
Achanak Sunkar awaaz siskiyon, Mehsoos Kar namin aansoon ki,
Main Ruk gaya, Main Khada Tha.....Khada hi reh gaya,
Meri chetna Shoonya Hoti Jaa rahi thi,
Kyunki siskiyon ki awaaz,
Kahin aur se nahi mere hi dil se aa rahi thi............

Nanaha sa, sehma sa dil mera,
Jaane kahan Chipa baitha tha,
Har us jagah jahan dhoondha jaa sake usse,
Maine apne hi dil ko dhoondha.....Lekin kahin na mila,

Yaad kar woh nami aansoonon ki,
Maine khud se poocha, Ab yeh kya saza hai.....

uss chupe dil ki ek dheeme si awaz aai,
awaaz yehi ki,


Kuch iss tarah tumne khud ki zindagi saja li hai,
Ki har nayee sehar ne tumhe ek nayee saza di hai,
Aur har ek saza ka,
Har dard sabse pehle maine saha hai,
Yehi wajah hai, ki aaj tumhara hi dil tumse......
door ja chupa hai.

Ek nadaan, nasamajh sa khada main,
Sirf hansa aur usse kaha
Aaj tum bhi apni shikayat ki potli khol lo
Aur apne chipe sab dard kum kar lo,
Lao apni saari shikayte saare dard mujhe dedo,
Aur muje meri zindagi ka hissa wapas kar do.......

Dil ne kaha.....
Har tootle sapne ka hissa hoon main
apnon ke ke akele chod dene ka ehsaas hoon main,
Andar chipe kai dard ka raaz hoon main,
Akele safar ke ek maatra saaz raha hoon main,
Aisi kai shikayaton ka karjdaar hoon main......

Aaj is dard ka bhi hisaab tumhe chukana hai....
Aur apne hi dil ko kho jaane se bachana hai....

Maine poocha, Iss be-dil jindagi se tumhe kya chahiye,
Awaaz aayee....Maangta hoon zindagi se zindagi ko.....

Zindagi jisme pyyar ki awaaz ho,
Safaltaon ke chipe hue raaz ho,
Apne ke atoot bandhan ka ehsaas ho,
himalaya se ooncha tumhara astitve,
Aur brahmaand main chippi saaree himmat,
Aur us chippi himmat se tumhare astitve ke mastishk par,
Zindagi ki har safalta ka taaz ho.......

Aaj ek baar Aur jilo nayee zindagi,
Kal kisne dekha hai,
Yaad rakho, tumhare karm hi,
Tumhare mastishk aur haathon ki rekha hai......

shikayaton ki itni badi ferhist sunkar,
Pehli dafa toh main ghabraya aur khud ko sambhalkar........
Safed aasman ke neeche, Hari bhari dharti ke upar,
shaant Behti huee Nadi ke kinaare, aur mehekti hawaon ke beech,
Agini ko sakhshi maan ke.........
Maine Dil Se sirf itna kaha...............

MERA TUMSE YEH WAADA RAHA.........